sahil par dariya ki lahren sajda karti rahti hain laut ke phir aane jaane ka wada karti rahti hain kya jaane kab dharti par sailab ka manzar ho jae har-dam ye majbur nigahen warsha karti rahti hain un ki nayya bin manjhi ke par karegi sab dariya kyunki dher duaen jaise pichha karti rahti hain kis kis manzar par khud ko ranjida kar lun sochunga har manzar par aanhken meri nauha karti rahti hain be-mehnat jab roti qaidi ban jati hai thaali ki be-ghairat si raaten mujh se shikwa karti rahti hain patthar ho jaen ya pani rim-jhim rim-jhim barsaen aanhken sare manzar ko aaina karti rahti hain