saKHtiyan karta hun dil par ghair se ghafil hun main

sakhtiyan karta hun dil par ghair se ghafil hun main
hae kya achchhi kahi zalim hun main jahil hun main

main jabhi tak tha ki teri jalwa-pairai na thi
jo numud-e-haq se mit jata hai wo baatil hun main

ilm ke dariya se nikle ghota-zan gauhar-ba-dast
wae mahrumi khazaf chain lab sahil hun main

hai meri zillat hi kuchh meri sharafat ki dalil
jis ki ghaflat ko malak rote hain wo ghafil hun main

bazm-e-hasti apni aaraish pe tu nazan na ho
tu to ek taswir hai mahfil ki aur mahfil hun main

dhundhta phirta hun main 'iqbaal' apne-ap ko
aap hi goya musafir aap hi manzil hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close