samajh raha hai zamana riya ke pichhe hun

samajh raha hai zamana riya ke pichhe hun
main ek aur tarah se khuda ke pichhe hun

kahin kahin se zyaada siyah hai mera badan
bahut hi kali hai jo is hawa ke pichhe hun

ye aa rahi hai kahan se samajh nahin aati
bahut hi bhed bhari ek sada ke pichhe hun

teri banai hui fard-e-jurm kahti hai
ki jaise main hi yahan har khata ke pichhe hun

zara sa dekh lun phir pura khinch lunga use
azal se hi main kisi kam-numa ke pichhe hun

hai kuchh ghalat sa meri hi sarisht mein 'shahin'
main khud hi apni har ek ibtila ke pichhe hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close