sans ki dhaar zara ghusti zara kaTti hai

sans ki dhaar zara ghusti zara katti hai
kya daranti hai ki khud fasl-e-fana katti hai

ek taswir jo diwar se uljhi thi kabhi
ab meri nazron mein rahne ki saza katti hai

teri sargoshi se kat jata hai yun sang-e-sukut
jis tarah habs ke patthar ko hawa katti hai

qata karta hai mere halqa-e-virani ko
nind jo mod pas-e-khwab sira katti hai

yunhi girti nahin ashkon ki siyahi dil par
an-kaha likhti kabhi likkha hua katti hai

chikhna chahun to dasti hai khamoshi 'shaariq'
chup rahun to mujhe zahrili sada katti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close