sanson ki tuti sargam mein ek mitha swar yaad raha yun to sab kuchh bhul gaya main par tera ghar yaad raha yun bhi koi milna hai jo milne ki ghadiyon mein bhi milne se pahle is zalim duniya ka dar yaad raha warna main bhi jhuk hi jata zulm ki andhi chaukhat par achchha raha ki mujh ko apne shair ka sar yaad raha honton se jo baat hui wo nil-gagan tak ja pahunchi aankhon ne jo likkha dil par akhshar akhshar yaad raha jis ke karan tyag tapasya aur tap ko wanwas mila soch raha hun ek rani ko kyun aisa war yaad raha