kash tufan mein safine ko utara hota dub jata bhi to maujon ne ubhaara hota hum to sahil ka tasawwur bhi mita sakte the lab-e-sahil se jo halka sa ishaara hota tum hi waqif na the aadab-e-jafa se warna hum ne har zulm ko hans hans ke sahaara hota gham to khair apna muqaddar hai so is ka kya zikr zahr bhi hum ko ba-sad-shauq gawara hota baghban teri inayat ka bharam kyun khulta ek bhi phul jo gulshan mein hamara hota tum par asrar-e-fana raaz-e-baqa khul jate tum ne ek bar to yazdan ko pukara hota