sharik-e-soz-e-darun jab se ho gae alfaz

sharik-e-soz-e-darun jab se ho gae alfaz
nawa-e-dard mein shoale piro gae alfaz

suna ke dastan dil-doz wardaton ki
na jaane kitnon ke daman bhigo gae alfaz

kabhi kabhi to kuchh aisa bhi ittifaq hua
tadap ke jag uthe arman to so gae alfaz

mili na jab unhen iblagh ki tawanai
to aap apne muqaddar ko ro gae alfaz

uthe to sare zamane ki ban gae aawaz
dabe to aabru apni dubo gae alfaz

khatib-e-shahr ne ki baat dosti ki magar
dilon mein tukhm adawat ke bo gae alfaz

ghazal-sarai-e-'mansha' pe yun hua mahsus
ki jaise ruh ke andar samo gae alfaz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close