sar-e-baam-e-hijr diya bujha to KHabar hui

sar-e-baam-e-hijr diya bujha to khabar hui
sar-e-sham koi juda hua to khabar hui

mera khush-khiram bala ka tez-khiram tha
meri zindagi se chala gaya to khabar hui

mere sare harf tamam harf azab the
mere kam-sukhan ne sukhan kiya to khabar hui

koi baat ban ke bigad gai to pata chala
mere bewafa ne karam kiya to khabar hui

mere ham-safar ke safar ki samt hi aur thi
kahin rasta koi gum hua to khabar hui

mere qissa-go ne kahan kahan se badhai baat
mujhe dastan ka sira mila to khabar hui

na lahu ka mausam-e-rang-rez na dil na main
koi khwab tha ki bikhar gaya to khabar hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close