sar-e-bazar humne bhi tamasha kya nahin dekha

sar-e-bazar hum ne bhi tamasha kya nahin dekha
bhare sansar mein hum ne koi tum sa nahin dekha

na chhedo baat ulfat ki mohabbat aur chahat ki
fareb-e-husn mein hum ne sitam kya kya nahin dekha

yahan har roz hoti hai qayamat har ghadi barpa
kisi basti ko aise khun mein duba nahin dekha

jahan dekhun wahan bas ek hi aatish-zabani hai
baraste phul hon jin se koi aisa nahin dekha

nasihat ras koi bhi tujhe aati nahin 'mohsin'
zamane bhar mein patthar-dil koi tujh sa nahin dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close