sar-e-shorida pa-e-dasht-e-paima sham-e-hijran tha kabhi ghar tha bayaban mein kabhi ghar mein bayaban tha tere kushte ko mahshar khwab-e-asaish ka saman tha ki sur afsana-go tha zalzala gahwara-jumban tha jise sab nuh ke farzand kahte hain ki tufan tha kisi jaan-dada-e-khamosh ka andoh-e-pinhan tha bala se chur kar do chur kar do shisha-e-dil ko isi mein qaid hasrat thi isi mein band arman tha na kholi aankh waqt-e-naza bimar-e-mohabbat ne kisi ka parda rakhna tha koi aankhon mein pinhan tha akele ai buto hum bhi na soe kunj-e-marqad mein jo is pahlu mein hasrat thi to us pahlu mein arman tha gae the raundne dil ko liye baithe hain talwon ko faro rag rag mein nashtar the nihan nas nas mein paikan tha meri hasti ki mahshar mein koi tabir kya karta kisi zulf-e-pareshan ka main ek khwab-e-pareshan tha qayamat tak pas-az-murdan rahi ek tis si dil mein wo kahte hain ki paikan tha main kahta hun ki arman tha huzur-e-bulbul-e-kilk-e-'bayan' kis tarah khulte munh ki bu-e-ghuncha san mahjub nutq-e-har-sukhan wan tha