sar ko aawaz se wahshat hi sahi

sar ko aawaz se wahshat hi sahi
aur wahshat mein aziyyat hi sahi

khak-zadi tere ushshaq bahut
main teri yaad se ghaarat hi sahi

wo kahan hain ki jo maslub na the
meri mitti mein baghawat hi sahi

aah-o-ahang-o-ihanat ke kanar
ai meri pyas pe tohmat hi sahi

khud se misaq ghalat tha mera
ai tere khwab zarurat hi sahi

ishq ai ishq azadar hun main
dosh pe bar-e-hazimat hi sahi

phir kisi khwab ki baiat kar len
phir kisi dukh ki tilawat hi sahi

ek khwahish ki jise sinch saken
raigani ki riyazat hi sahi

hum se kuchh aur to kya hona hai
ek tere gham ki hifazat hi sahi

lautte hain ki bulata hai koi
barish-e-sang-e-malamat hi sahi

tutte hain ki nasha tutta hai
khud se milne mein aziyyat hi sahi

ab kisi aur ki khwahish hi kahan
ab tere hijr se fursat hi sahi

kaghzi shahr ude jate hain wo
aasmanon ki rifaqat hi sahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close