koi imkan to na tha us ka magar chahta tha kab se koi kisi diwar mein dar chahta tha zabt ke ped ne gul aur khilae ab ke aur hi tarz ka ye dil to samar chahta tha aakhiri manzil-e-taskin-e-dil-o-jaan talak manzilen rah na katen ye safar chahta tha chand lamhon ke liye jad ko wo sairab kare aur shitabi se nikal aae samar chahta tha kitna kam-fahm tha koi ki jala kar un ko zindagi par mere khwabon ka asar chahta tha ye alag baat ki teshe se shanasai na thi warna jaan koi tujh pe magar chahta tha hijr ehsas ko shal bhi to kiye rahta hai asar us ka koi ba-rang-e-digar chahta tha us ko sayon ke taaqub mein likha tha rahna dard aangan mein ghana ek shajar chahta tha ek gahri si nazar rauzan-e-dil ke andar dasht-e-ehsas kahan shams o qamar chahta tha aandhiyan dosh pe le kar wo uda phirta ho aur salamat bhi rahe kanch-nagar chahta tha