sar uthaya to sar rahega kya khauf ye umr-bhar rahega kya us ne zanjir kar ke rakkha hai hum se wo be-khabar rahega kya panw rahte nahin zamin pe tere hath dastar par rahega kya wo jo ek khwab hum ne dekha tha khwab hi umr-bhar rahega kya mar rahe hain firaq mein tere tu hamein mar kar rahega kya ishq-e-khana-kharab tere baad koi aabaad ghar rahega kya hum na honge to ye jahan-e-tilism ye fareb-e-nazar rahega kya tera apna nahin tera saya tere zer-e-asar rahega kya mauj apni jagah kinara hai ye kinara magar rahega kya dubna tha jise wo dub gaya tu bhi ab dub kar rahega kya aaj kya be-ufuq rahegi sham be-sitara safar rahega kiya dekh kar un pari-nizhadon ko aaina khud-nigar rahega kya apne bas mein rahegi kya aandhi apne bal par shajar rahega kya shahr mein wo jidhar rahega rasa shahr sara udhar rahega kya