sarab-e-dasht tujhe aazmane wala kaun bata ye apne lahu mein nahane wala kaun sawad-e-sham ye shahzad-gan-e-subh kahan siyah shab mein ye suraj ugane wala kaun ye regzar mein kis harf-e-lazawal ki chhanw shajar ye dasht-e-ziyan mein lagane wala kaun ye kaun rasta roke hue khada tha abhi aur ab ye rah ke patthar hatane wala kaun ye kaun hai ki jo tanhai par bhi raazi hai ye qatl-gah se wapas na jaane wala kaun badan ke nuqrai tukde lahu ki ashrafiyan idhar se guzra hai aise khazane wala kaun ye kis ke nam pe tegh-e-jafa nikalti hui ye kis ke kheme, ye kheme jalane wala kaun ubharte dubte manzar mein kis ki raushaniyan kalam-e-haq sar-e-neza sunane wala kaun mili hai jaan to us par nisar kyun na karun tu ai badan mere raste mein aane wala kaun