sare chehre tanbe ke hain lekin sab par qali hai mohmal taba-e-mohmal kya hai donon ka ek mani hai mante hain aap is ke qad mein us ka qad shamil hi na tha aage hum kyun bahsen sahab itni baat hi kafi hai dhan ke kheton ka sab sona kis ne churaya kaun kahe be-mausam be-fasl abhi tak is izhaar ki dharti hai andeshe andaze ban kar mere safar ke khwab bane har basti mein aa kar socha shayad aage basti hai us ki sada se gunge lamhe pael jaise bajte hain bachchon jaisa khush hota hun jab bhi barish hoti hai be-mashshata husn ki ganw ganw tha wo kahan gaya bed ke saya-zaron ne kab pahchan apni khoi hai malik sat samundaron ki wusat ka hun main lekin mera dil kyun bhar aata hai jab koi naddi sukhti hai apne aap se main sharminda hota jo mujrim hota mere bare mein ye duniya kahne do jo kahti hai manzur apne dast-e-tahi ko dekh ke tujh se puchhe kyun harf-e-sukhan ek tere siwa hai kaun si shai jo sasti hai