safar hi koi rahega na fasla koi ye ek khayal hai is par bhi tabsira koi raqam hua hun yaqin o qayas donon mein kare to kaise kare mera tajziya koi wo dast-e-sang hai main aaina-girafta hun na ho sakega kabhi hum mein tasfiya koi zamin pe aae na aae ye wahm hai sab ko khala ki god mein palta hai hadsa koi main ek lakir ka qaidi hun bawajud is ke har ek lakir se milta hai silsila koi na jaane kis liye rota hun hanste hanste main basa hua hai nigahon mein aaina koi hawa sulati hai daman mein zard patton ko use bhi chahiye jine ka mashghala koi bhala hai dur rahe ek harif ki manind hai phir bhi sae ka mujh se muamla koi likha gaya nahin 'manzur' aaj tak shayad shafaq ke bab mein subhon ka tazkira koi