satao na hum ko satae hue hain

satao na hum ko satae hue hain
charagh-e-sahar hain bujhae hue hain

jo gham ko gale se lagae hue hain
wo sine mein shoale chhupae hue hain

sunao ye muzhde ghamon ke ai logo
ye naghme sune aur sunae hue hain

ganwae hue hain wo sab kuchh hi apna
jo shoalon se daman jalae hue hain

hamein aazmae hue hai zamana
zamane ko hum aazmae hue hain

kasak dard ki puchhiye in dilon se
jo muddat se ye bar uthae hue hain

ba-sad shauq aain meri anjuman mein
nigahen hum apni bichhae hue hain

hum aadab se zindagi ke hain waqif
hum hi apna sab kuchh lutae hue hain

teri yaad ki ye kasak mithi mithi
nishan the yahan kuchh mitae hue hain

na mayus ho zindagi kashmakash se
teri bazm ko hum sajae hue hain

uthae hain shadab gul log jaise
yun bar-e-alam hum uthae hue hain

utha saz-e-hasti tere sath hun main
ye naghme mere gungunae hue hain

wo rishton ki azmat ko kya jaanen 'ashraf'
jo kanton se daman bachae hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close