sawal chhoD ki haalat ye kyun banai hai

sawal chhod ki haalat ye kyun banai hai
use na sun jo kahani suni-sunai hai

patanga shama pe marta hai kya burai hai
use kisi ne bhi roka hai jis ki aai hai

hanse hain gul na kali koi muskurai hai
huzur kaise ye kah dun bahaar aai hai

zarur koi alamat qaza ki pai hai
mujhe azizon ne surat teri dikhai hai

na jaane hijr ki raat aur meri siyah-bakhti
kahan kahan ke andhere samet lai hai

lahad se kab uthen dekho musafiran-e-adam
safar hai dur ka raste mein nind aai hai

asir kya kahen sayyaad ye to samjha de
qafas mein bu-e-chaman puchhne ko aai hai

mujhe na chhed qayamat hai meri aahon mein
khuda rakhe teri mahfil saji-sajai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close