sehr-e-talab na KHwab-e-fusun mujhko mil gaya

sehr-e-talab na khwab-e-fusun mujh ko mil gaya
nind aa gai to khud hi sukun mujh ko mil gaya

main chahta hun khak udaun jahan ki
ye kaisi aag kaisa junun mujh ko mil gaya

ye phul le kar us ki taraf ja raha tha main
lekin wo raste mein hi kyon mujh ko mil gaya

kal tak to aansuon se pareshan tha aur ab
ahwal-e-dil bhi aaj zubun mujh ko mil gaya

us ped ko ghamand bahut tha bahaar mein
lekin khizan mein wo bhi nigun mujh ko mil gaya

ek yaad ghar mein sae ki surat rahi 'fida'
ek aks aaine ke darun mujh ko mil gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close