shab-e-firaq jo dil mein KHayal-e-yar raha

shab-e-firaq jo dil mein khayal-e-yar raha
pas-e-fana bhi tasawwur mein intizar raha

uda rahe hain meri khak ko wo thokar se
ilahi mujh se to achchha mera ghubar raha

nazar milate hi hathon se dil chala mera
kisi ko dekh ke dil par na ikhtiyar raha

kisi ki nargis-e-mastana phir gai jab se
na wo surur na aankhon mein wo khumar raha

shab-e-firaq ki tanhai mein tha kaun anis
khayal-e-yar hi ek apna gham-gusar raha

wafa nahin to nahin murid-e-jafa hi sahi
hazar shukr ki main dakhil-e-shumar raha

ye dore dale hain kis chashm-e-mast ne ai 'naz'
ki hashr tak meri aankhon mein ek khumar raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close