ye sahra-e-talab ya besha-e-ashufta-haali hai

ye sahra-e-talab ya besha-e-ashufta-haali hai
koi daryuza-gar apna koi tera sawali hai

hawadis se nabard-araiyon ka kis ko yara tha
junun apna salamat jis ne har uftad tali hai

tere aghmaz ki khu sikh li ahl-e-murawwat ne
ki mahfil dard ki ab sahab-e-mahfil se khali hai

huzuri ho ki mahjuri mohabbat kam nahin us se
tab apna bakht-e-ali tha ab apna zarf-e-ali hai

numu ka josh kuchh nazzara-farma ho to ho warna
bahaar ab ke baras khud paimal-e-khushk-sali hai

kisi ke lutf-e-kam ko der lagti hai siwa hote
chatakne tak to har gul ki jibillat infiali hai

sharaf itna ki 'ghaalib' ki zamin mein hai ghazal 'gauhar'
wo mazmun-afrini hai na wo nazuk-khayali hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close