shab-e-hijran thi main tha aur tanhai ka aalam tha

shab-e-hijran thi main tha aur tanhai ka aalam tha
gharaz us shab ajab hi be-sar-o-pai ka aalam tha

gareban ghuncha-e-gul ne kiya gulshan mein sau tukde
ki har funduq par us ke turfa ranai ka aalam tha

nihaal-e-khushk hun main ab to yaro kya hua yani
kabhi is bed-e-majnun par bhi shaidai ka aalam tha

likhe gar ja o beja sher main ne dar nahin us ka
ki main yan tha safar mein mujh pe bejai ka aalam tha

hina bhi to laga dekhi pe wo aalam kahan hai ab
hamare khun se jo hathon pe zebai ka aalam tha

chala jab shahr se majnun taraf sahra ki yun bola
nasib apne to is aalam mein ruswai ka aalam tha

ye aalam hum ne dekha 'mushafi' han apni aankhon se
ki banda ji se us mashuq harjai ka aalam tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close