shab-e-siyah se jo istifada karte hain

shab-e-siyah se jo istifada karte hain
wahi charaghon ka matam ziyaada karte hain

dilon ka dard kahan jam mein utarta hai
harif-e-waqt ko hum gharq-e-baada karte hain

purani talkhiyan daman bahut pakadti hain
kabhi naya jo koi hum irada karte hain

padi thi dil ki zamin jaane kab se be-masraf
ab us mein yaadon ke but istada karte hain

ajib daur hai ye jis mein sare danish-war
dilon ko tang makan ko kushada karte hain

ye aasman-e-watan kyun rida hamari hai
hum is zamin ko kaise labaada karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close