shab KHumar-e-husn-e-saqi hairat-e-mai-KHana tha

shab khumar-e-husn-e-saqi hairat-e-mai-khana tha
aap hi mai aap hi khum aap hi paimana tha

kaba-o-dair kalisa mein abas dhunda kiye
dil ka har gosha maqam-e-jalwa-e-jaanana tha

rang laya hai bara-e-dida-e-anjam jo
shama har har zarra-e-khak-e-par-e-parwana tha

khami-e-zauq-e-nazar thi warna ai nakaam-e-ishq
zarre zarre se numayan jalwa-e-jaanana tha

phir wahi saut-e-tarab-afza bane firdaus-e-gosh
jis se ek aalam shahid-e-naghma-e-mastana tha

did ke qabil tamasha tha ye hangam-e-sahar
shama ka har sans mahw-e-matam-e-parwana tha

fitna-e-mazhab bhi khud-bini ka ek andaz hai
warna kis ko imtiyaz-e-masjid-o-but-khana tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close