zindagi jab se shanasa-e-muhaallat hui

zindagi jab se shanasa-e-muhaallat hui
sach to ye hai ki khud apne se mulaqat hui

parda-e-gham jise samjha tha wahi khamoshi
kal teri bazm mein mauzu-e-hakayat hui

hum ko ai qafila-e-shauq ye kya yaad rahe
ki hui subh kahan aur kahan raat hui

teri duz-dida-nigahi ka khayal aate hi
dil mein ek raushni-e-kashf-e-hijabaat hui

is qadar sahl kahan marhala-e-soz-o-gudaz
raat bhar shama ka jalna bhi koi baat hui

pas-e-adab-e-mohabbat ki ba-in raaz o niyaz
muddaton baad-e-saba se na koi baat hui

jis ki mahfil ko 'rawish' jannat-e-farda kahiye
kal usi khusraw-e-khuban se mulaqat hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close