shab ki mutrib tha sharab-e-nab thi paimana tha

shab ki mutrib tha sharab-e-nab thi paimana tha
wo pari-wash kya na tha goya ki jo kuchh tha na tha

soz-e-dil se lab ye har dam nala betabana tha
hijr-e-saqi mein kisi pahlu qarar asla na tha

jalwa-gar dil mein khayal-e-ariz-e-jaanana tha
ghar ki zinat thi ki zinat-bakhsh sahab-khana tha

kya karun ab mubtala hun aap apne haal mein
di thi neamat us ne jab lab par mere shukrana tha

shohra-e-afaq hoti meri az-khud-raftagi
khairiyat guzri ki aaankhon se tujhe dekha na tha

fasl-e-gul mein chhodta mai dekh kar mah-e-siyam
kuchh junun mujh ko na tha wahshat na thi sauda na tha

kya kahun dar ye hai wo laila-ada ruswa na ho
warna majnun se bhi kuchh badh kar mera afsana na tha

gar nazakat mein na hota misl-e-tar-e-ankabut
khub ulfat se zamana mein koi rishta na tha

yun zaifi aa gai goya azal se the zaif
aur shabab aisa gaya jaise kabhi aaya na tha

hai yaqin aashiq tumhaara mar gaya ho lo khabar
main ne kal dekha tha ja kar haal kuchh achchha na tha

nim-baz aankhen tumhaara nam tha wird-e-zaban
zakhm-e-dil par hath tha lab par magar shikwa na tha

bakht ki bargasht-agi guzri hai had se ai 'habib'
dekhte hain un ke talwe jin ka munh dekha na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close