shab shauq le gaya tha hamein uske ghar talak

shab shauq le gaya tha hamein us ke ghar talak
par ghash sa aa gaya wohin pahunche jo dar talak

gar hum ko lag gai hain kabhi hichkiyan to hum
aath aath aansu roe hain do do pahar talak

darta hun main ye gum na kare aap ko kahin
phir jad ko hui hai rasai kamar talak

parwana kya ude hai charaghan mein to nahin
pahuncha jo koi shoala tere baal-o-par talak

sahra-e-kushtagan mein tere kal gaya tha main
dekhun to lala-zar hai hadd-e-nazar talak

phailaw bahr-e-ashk ka apne main kya kahun
pahunchi hai mauj gar ye meri bahr-o-bar talak

we din kidhar gae ki main likh likh ke khat-e-shauq
jata tha aap girya-kunan nama-bar talak

shab us ki bazm mein jo gae hum to 'mushafi'
aise jame ki wan se na utthe sahar talak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close