shadid habs mein rahat hawa se hoti hai

shadid habs mein rahat hawa se hoti hai
bahaal apni tabiat hawa se hoti hai

koi charag jalata nahin saliqe se
magar sabhi ko shikayat hawa se hoti hai

lachak ke tut na jae kahin ye shakh-e-badan
chale jo tez to wahshat hawa se hoti hai

kahin dhuwen ke siwa kuchh nazar nahin aata
kabhi kabhi wo shararat hawa se hoti hai

hawa se kah do ki kuchh der ko thahar jae
khajil hamari ibarat hawa se hoti hai

azal se us ki tabiat mein sar-kashi hai 'talab'
kahan kisi ki itaat hawa se hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close