shah-e-alam ko sar-e-am suna baiTha hun

shah-e-alam ko sar-e-am suna baitha hun
mere maula teri chaukhat se laga baitha hun

mujhe malum hain aadab-e-nashist-o-barkhast
tere darbar mein ek umr utha baitha hun

isi mausam ki tamanna thi kai barson se
baadban kholne the aur gira baitha hun

bhul jaana tha jise sabt hai dil par mere
yaad rakhna tha jise us ko bhula baitha hun

baat kaise main karun aankh mila kar us se
samne jis ke nigahon ko jhuka baitha hun

wapsi ka koi rasta nahin milta 'yasir'
kashtiyan apni main pahle hi jala baitha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close