shahid-e-ghaib huwaida na hua tha so hua husn par aap ne shaida na hua tha so hua ghamza-e-shokh-e-siyah-mast tera mizhgan se qatl-e-ashiq pe saf-ara na hua tha so hua hans ke wo ghuncha-dahan meri jigar-khwari par kah diya tera dilasa na hua tha so hua rishta-e-saf nigah mein ho musalsal aansu sina-e-yar mein mala na hua tha so hua sar-e-sauda pe tere sher-e-rasa se 'agah' silsila hashr ka barpa na hua tha so hua