tum kya jaano pyar mohabbat ishq nibhana kya hota hai tum kya jaano rasta takte umr bitana kya hota hai masjid mandir girja-ghar mein ashk bahana kya hota hai tum kya jaano raat tahajjud hath uthana kya hota hai khud ko mitti mitti kar ke aahen girya zari shor tum kya jaano ruthne wale yar manana kya hota hai tum kya jaano zakhmi aankhen khwab bikhar jaane ka dukh tum kya jaano hijr ke aansu dard uthana kya hota hai jaan se pyare de kar tum ko jaan mana lun bolo bhi tum kya jaano jaan se pyare jaan se jaana kya hota hai