shahr ko aatish-e-ranjish ke dhuan tak dekhun maqtal zist ko aakhir main kahan tak dekhun phir ye manunga khamoshi pe zawal aaya hai dil dhadakne ki sada jab main zaban tak dekhun ye tamanna hai khuda aalam-e-hasti mein tere main ayan dekhna chahun to nihan tak dekhun jab ki ab rabta rakhne ka bahut hai imkan phir bhi viraniyan phailin hain jahan tak dekhun kya tasawwur meri aankhon ne nawaza hai mujhe khud ko dekhun to main ehsas-e-ziyan tak dekhun manta hun ki hai zulmat-e-azal us ka nasib raat ki zid hai use apni fughan tak dekhun ye bhi aslaf ki tahzib hai 'azhar' main yahan apna kirdar tamam amn-e-aman tak dekhun