tasbih-e-qumri sarw-e-sanobar sameT lo

tasbih-e-qumri sarw-e-sanobar samet lo
jaana hai is dayar se manzar samet lo

parwaz-e-kaamyabi ki bas itni shart hai
chahat hisar-e-nafas ke andar samet lo

us ashk ki tadap ke muqabil mein kuchh nahin
ab chahe chashm-e-nam mein samundar samet lo

taqat pe pahle apni to raazi khuda karo
phir bazuon mein tum dar-e-khaibar samet lo

mera makan nahin hai khata-bin ke waste
aao magar mizaj ko bahar samet lo

'azhar' ye daur-e-aish hai yan jine ke liye
aazurda zehn aur dil-e-muztar samet lo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close