shahr mein sare charaghon ki ziya KHamosh hai

shahr mein sare charaghon ki ziya khamosh hai
tirgi har samt phaila kar hawa khamosh hai

subh ko phir shor ke ham-rah chalna hai use
raat mein yun dil dhadakne ki sada khamosh hai

kaisa sannata tha jis mein lafz-e-kun kahne ke baad
gumbad-e-aflak mein ab tak khuda khamosh hai

kuchh batata hi nahin guzri hai kya pardes mein
apne ghar ko lautta ek qafila khamosh hai

uth rahi hai meri mitti se sada-e-al-atash
khali mashkiza liye apna ghata khamosh hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close