shaikh-e-haram us but ka parastar hua hai but-khana-nashin bandh ke zunnar hua hai har harf pe do aansu tapak padte hain ai wae khat yar ko likhna hamein dushwar hua hai kotah na samajh aah-e-zaifan ko ye tir sau bar dil-e-arsh se bhi par hua hai ai said-fagan gham se tere duri ki mera har zakhm-e-dil ek dida-e-khun-bar hua hai hasti teri parda hai utha de ise ghafil kyun aisa hijab-e-rukh-e-dildar hua hai aage tere thi garm-e-sukhan hone ki hasrat so bharna dam-e-sard bhi dushwar hua hai kar qadr tu 'rasikh' ki ki is tarah ka aazad yun dam mein aa tere giraftar hua hai