sham-e-furqat ke sitare to asar tak Thahre

sham-e-furqat ke sitare to asar tak thahre
han wafadar the aansu jo sahar tak thahre

jalwe dekhe to malak aur bashar tak thahre
sajde karne ke liye shams-o-qamar tak thahre

dastan rang par aai to zamana badla
dubte tare bhi aaghaz-e-sahar tak thahre

kah de khilti hui kaliyon se koi gulshan mein
itna halka ho tabassum ki nazar tak thahre

jagmagati hui maujon ka to kya zikr koi
kashti aate hue dekhi to bhanwar tak thahre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close