sham guzri hai abhi gham ki sahar baqi hai

sham guzri hai abhi gham ki sahar baqi hai
ek safar khatm hua ek safar baqi hai

kis tarah ghar mein kahun apne shikasta-ghar ko
koi diwar salamat hai na dar baqi hai

zard aata hai nazar khauf-e-khizan se wo bhi
ek patta jo sar-e-shakh-e-shajar baqi hai

ab jalaen bhi dobara to wo shayad na jalen
jin charaghon pe hawaon ka asar baqi hai

kyun rahe tishna-e-khun wo bhi hamare hote
tere tarkash mein koi tir agar baqi hai

khatm hote hi main aati nahin rah-e-manzil
umr-bhar chalte rahe phir bhi safar baqi hai

dasht ki khak hua jism to kab ka 'khawar'
shahr mein ab bhi mera nam magar baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close