shayad aaghaz hua phir kisi afsane ka hukm aadam ko hai jannat se nikal jaane ka un se kuchh kah to raha hun magar allah kare wo bhi mafhum na samjhen mere afsane ka dekhna dekhna ye hazrat-e-waiz hi na hon rasta puchh raha hai koi mai-khane ka be-talluq tere aage se guzar jata hai ye bhi ek husn-e-talab hai tere diwane ka hashr tak garmi-e-hangama-e-hasti hai 'shakil' silsila khatm na hoga mere afsane ka