shayad abhi hai rakh mein koi sharar bhi

shayad abhi hai rakh mein koi sharar bhi
kyun warna intizar bhi hai iztirar bhi

dhyan aa gaya tha marg-e-dil-e-na-murad ka
milne ko mil gaya hai sukun bhi qarar bhi

ab dhundne chale ho musafir ko dosto
had-e-nigah tak na raha jab ghubar bhi

har aastan pe nasiya farsa hain aaj wo
jo kal na kar sake the tera intizar bhi

ek rah ruk gai to thithuk kyun gain 'ada'
aabaad bastiyan hain pahadon ke par bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close