shikast-e-dil mein bhi ek zindagi nazar aai

shikast-e-dil mein bhi ek zindagi nazar aai
diya bujha to hamein raushni nazar aai

faraaz-e-dar pe koi hamein na pahchana
zamane walon ko khush-qamati nazar aai

sar-e-dayar-e-wafa doston ke jhurmut mein
darida jism liye dosti nazar aai

ab aur tarz se naqqara-e-khuda gunje
zaban-e-khalq to khamosh hi nazar aai

wo rakh-rakhaw na dekha diye ke jalne mein
jo us ke bujhne mein shaistagi nazar aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close