zaKHm-e-jigar ko dast-e-jarahat se puchhiye

zakhm-e-jigar ko dast-e-jarahat se puchhiye
jo rah gai dilon mein wo hasrat se puchhiye

jaan-dadgan-e-aish ka anjam kya hua
aawargan-e-kucha-e-wahshat se puchhiye

main kho gaya hun apni zarurat ki bhid mein
main kya hun mujh ko meri zarurat se puchhiye

afsos hai mujhe meri ghairat ki maut par
kyun ki hai khud-kushi meri ghurbat se puchhiye

hum kyun hawas-parasti ka ilzam den use
sab aaj apni apni mohabbat se puchhiye

kahte hain kis ko hashr qayamat hai kis ka nam
ham-sakinan-e-shahr-e-qayamat se puchhiye

khulte kahan hain sab pe ye asrar harf ke
ramz-e-sukhan ko ahl-e-farasat se puchhiye

kyun wo zaban-daraaz bhi khamosh ho gaya
'shahid'-kamal us ki raunat se puchhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close