shikwa-e-gardish-e-haalat liye phirta hai

shikwa-e-gardish-e-haalat liye phirta hai
jis ko dekho wo yahi baat liye phirta hai

us ne paikar mein na dhalne ki qasam khai hai
aur mujhe shauq-e-mulaqat liye phirta hai

shakhcha tut chuka kab ka shajar se lekin
ab bhi kuchh sukhe hue pat liye phirta hai

sochiye jism hai ab ruh se kaise ruthe
apne sae ko bhi jo sat liye phirta hai

aasman apne iradon mein magan hai lekin
aadmi apne khayalat liye phirta hai

partaw-e-mahr se hai chand ki jhilmil 'anwar'
apne kase mein ye khairaat liye phirta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close