shikwa na raqibon se na jaanan se gila hai

shikwa na raqibon se na jaanan se gila hai
mujh ko faqat apni dil-e-nadan se gila hai

yun khak-basar mujh ko na karna tha jahan mein
ai yar teri zulf-e-pareshan se gila hai

bimar-e-mohabbat ki ayaadat ko na aae
kya hijr dawa tha mujhe darman se gila hai

aansu jo na bahte to main aankhon se na girta
mujh ko bahut is dida-e-giryan se gila hai

dam-bhar nahin lagti hai palak se palak apni
ginwati hai tare shab-e-hijran se gila hai

aae bhi to khae na gilauri na mala itr
roki meri dawat mujhe mehman se gila hai

bakhiye ki hawas rah gai afgar dilon ko
har zakhm ko us sozan-e-mizhgan se gila hai

gul-bu na kabhi lae shikayat hai saba hai
bheja na koi phul gulistan se gila hai

naghme na sunae kabhi ahbab-e-qafas ko
gulzar ke murghan-e-khush-alhan se gila hai

rahne ko thikana nahin milta kahin us ko
majnun ko tere gosha-e-zindan se gila hai

soya na kabhi chandni mein sath hamare
hum ko yahi is mah-e-darakhshan se gila hai

roka mujhe aghyar ko jaane diya ghar mein
shikwa sag-e-jaanan se hai darban se gila hai

is se hui furqat na hui in mein judai
ai 'bahr' mujhe apne tan-o-jaan se gila hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close