shoalon se mohabbat ki meri jaan mein lagi aag phir jaan se bhadak jism ke maidan mein lagi aag ye aatish-e-gham hai ki dam-e-sard se apne sar-chashma-e-khurshid-e-darakhshan mein lagi aag us hur ke kuche mein bhare hum jo dam-e-garm mardum ne kaha rauza-e-rizwan mein lagi aag khandan jo hua yar hamein dekh ke giryan logon ne kaha barq se baran mein lagi aag in rozon mein hai rang jo ashkon ka gulabi shayad ki mere dida-e-giryan mein lagi aag garmi se nagar ke tere gun aab hua dekh bulbul ne pukara ki gulistan mein lagi aag nari hain jo pariyan ye sabab hai ki tumhaare nur-e-rukh-e-raushan se paristan mein lagi aag us aatishin-ru ko ba-lab-e-baam jo dekha aalam ne kaha gumbad-e-gardan mein lagi aag dariya mein wo dhoya tha kabhi dast-e-hinai hasrat se wahin panja-e-marjaan mein lagi aag ghairon ki taraf jo nazar-e-mehr se dekha ghairat se mere sina-e-sozan mein lagi aag kyun kohkan-o-qais rahen mujh se na nalan nalon se mere koh-o-bayaban mein lagi aag wo sokhta-dil hun main pas-az-marg jo guzra marqad se mere yar ke daman mein lagi aag 'matam' hai kisi sokhta-dil ka asar-e-ah be-wajh nahin kucha-e-jaanan mein lagi aag