shor hai us sabza-e-ruKHsar ka

shor hai us sabza-e-rukhsar ka
aaj tuti bolta hai yar ka

kis ada se hath rakkha qabze par
pad gaya putli mein dam talwar ka

ashk-e-be-tasir se hun aab aab
uqda hun main aansuon ke tar ka

bujh gaya mera charagh-e-zindagi
dekh kar wo qumquma rukhsar ka

kis maraz ki hai dawa unnab-e-lab
khatt-e-rukh nuskha hai kis bimar ka

ab ki aisi haar hai fasl-e-bahaar
gul hai but-khala zaban-e-khar ka

abru-e-ghilman hai wo mehrab-e-dar
zulf-e-hura saya hai diwar ka

lene wale le gae hosh-o-hawas
bik gaya sauda mere bazar ka

jab main nikla khalq ne ghera mujhe
mera sauda qarz hai bazar ka

juu-e-jannat hai chehre sayyaad ki
meri gardan par hai haq gulzar ka

aab-kari ki ho khidmat 'bahr' ko
na-khuda hai kashti-e-mai-khwar ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close