sine mein KHizan aankhon mein barsat rahi hai

sine mein khizan aankhon mein barsat rahi hai
is ishq mein har fasl ki saughat rahi hai

kis tarah khud apne ko yaqin aae ki us se
hum khak-nashinon ki mulaqat rahi hai

sufi ka khuda aur tha shaer ka khuda aur
tum sath rahe ho to karamat rahi hai

itna to samajh roz ke badhte hue fitne
hum kuchh nahin bole to teri baat rahi hai

hum mein to ye hairani-o-shoridgi-e-ishq
bachpan hi se minjumla-e-adat rahi hai

is se bhi to kuchh rabt jhalakta hai ki wo aankh
bas hum pe inayat mein mohtat rahi hai

ilzam kise den ki tere pyar mein hum par
jo kuchh bhi rahi hasb-e-riwayat rahi hai

kuchh 'mir' ke haalat se hasil karo ibrat
le de ke ab ek izzat-e-sadat rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close