sab badalte ja rahe hain sar-ba-sar apni jagah

sab badalte ja rahe hain sar-ba-sar apni jagah
dasht ab apni jagah baqi na ghar apni jagah

main bhi nadim hun ki sab ke sath chal sakta nahin
aur sharminda hain mere ham-safar apni jagah

kyun simatti ja rahi hain khud-ba-khud aabaadiyan
chhodte kyun ja rahe hain baam-o-dar apni jagah

jo kuchh in aankhon ne dekha hai main us ka kya karun
shahr mein phaili hui jhuti khabar apni jagah

main 'jamal' apni jagah se is liye hatta nahin
wo ghadi aa jae shayad laut kar apni jagah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close