sirf sach aur jhuT ki mizan mein rakkhe rahe

sirf sach aur jhut ki mizan mein rakkhe rahe
hum bahadur the magar maidan mein rakkhe rahe

jugnuon ne phir andheron se ladai jit li
chand suraj ghar ke raushan-dan mein rakkhe rahe

dhire dhire sari kirnen khud-kushi karne lagin
hum sahifa the magar juzdan mein rakkhe rahe

band kamre khol kar sachchaiyan rahne lagin
khwab kachchi dhup the dalan mein rakkhe rahe

sirf itna fasla hai zindagi se maut ka
shakh se tode gae gul-dan mein rakkhe rahe

zindagi bhar apni gungi dhadkanon ke sath sath
hum bhi ghar ke qimti saman mein rakkhe rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close