sitamgaron ka tariq-e-jafa nahin jata

sitamgaron ka tariq-e-jafa nahin jata
ki qatl karna ho jis ko kaha nahin jata

ye kam hai kya ki mere pas baitha rahta hai
wo jab talak mere dil ko dukha nahin jata

tumhein to shahr ke aadab tak nahin aate
ziyaada kuchh yahan puchha-guchha nahin jata

bade azab mein hun mujh ko jaan bhi hai aziz
sitam ko dekh ke chup bhi raha nahin jata

bharam sarab-e-tamanna ka kya khula mujh par
ab ek gam bhi mujh se chala nahin jata

ajib log hain dil mein khuda se munkir hain
magar zaban se zikr-e-khuda nahin jata

uda ke khak bahut main ne dekh li ai 'zeb'
wahan talak to koi rasta nahin jata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close