sitare haar chuki thi sabhi juari raat bas ek chand bacha tha so wo bhi haari raat batao kaise kahan tum ne kal guzari raat uthai sud pe ya qarz pe utari raat nahin bulai nahin hum ne khud-bakhud aai yahan na aati to jati kahan bechaari raat utara tang diya raincoat khunti par phir us se risti rahi bund bund sari raat yahi hisab hai apni bhi zindagi ka dost naqd mein din ka kiya sauda aur udhaari raat hamein kafan nazar aane lage sitaron par jo bachpane mein sitaron ki thi pitari raat